andaz-e-kalam,main nahi jaanta
ghalib shayad khuda ko kehte hain....,
fark jab puchhta hun,shayeron se ghalib ka
kehte hain wo,ghalib dua ko kehte hai.......!!
log kehte hain ke
ghalib ab nahi iss duniya mein...,
phir main wo kaun hun
jisse har roz ghalib miltey hain..!!
meri siyahi se,ghlib ke
panno ki khushbuu aati hai....,
meri kalam se,har roz
ghlib ke phool khilte hain....!!
kuch roz baad,moti bhi aayega
tumhari duniya mein ghalib......
tamanna-e-talim se,kese
kalam ki siyahi khatm karte hain...!!
(mayank moti bokolia)
Wednesday, November 16, 2011
Sunday, November 13, 2011
Jaanta hun....
Jaanta hun par maanta nahi
ke tum ab saath nahi...,
iss zehan me tum base ho
har jagah har kahiin..!!
jaanta hun par maanta nahi....
maangu bhi toh kya maangu khuda se
wo naraj hai abhi...,
ab kiski nazar ibadat karunga
khuda mila bhi toh tujhi me kahiin..!!
jaanta hun par maanta nahi....
kai roz baad ghar se nikla tha
sab tha bas tum nahi..,
kami khalne na di dil ko tumhari
har shaqs me dekha tumhe wahiin..!!
jaanta hun par maanta nahi....
ab inn sadko ne bhi puch liya
aaj akele kese ho...,
pehle hass diya aakhir keh diya
wo zindgi ab nahi rahi...!!
(mayank moti bokolia)
ke tum ab saath nahi...,
iss zehan me tum base ho
har jagah har kahiin..!!
jaanta hun par maanta nahi....
maangu bhi toh kya maangu khuda se
wo naraj hai abhi...,
ab kiski nazar ibadat karunga
khuda mila bhi toh tujhi me kahiin..!!
jaanta hun par maanta nahi....
kai roz baad ghar se nikla tha
sab tha bas tum nahi..,
kami khalne na di dil ko tumhari
har shaqs me dekha tumhe wahiin..!!
jaanta hun par maanta nahi....
ab inn sadko ne bhi puch liya
aaj akele kese ho...,
pehle hass diya aakhir keh diya
wo zindgi ab nahi rahi...!!
(mayank moti bokolia)
Subscribe to:
Posts (Atom)
