Jaanta hun par maanta nahi
ke tum ab saath nahi...,
iss zehan me tum base ho
har jagah har kahiin..!!
jaanta hun par maanta nahi....
maangu bhi toh kya maangu khuda se
wo naraj hai abhi...,
ab kiski nazar ibadat karunga
khuda mila bhi toh tujhi me kahiin..!!
jaanta hun par maanta nahi....
kai roz baad ghar se nikla tha
sab tha bas tum nahi..,
kami khalne na di dil ko tumhari
har shaqs me dekha tumhe wahiin..!!
jaanta hun par maanta nahi....
ab inn sadko ne bhi puch liya
aaj akele kese ho...,
pehle hass diya aakhir keh diya
wo zindgi ab nahi rahi...!!
(mayank moti bokolia)
Sunday, November 13, 2011
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment